Search Your Song,Movie,Artist here....

Showing posts with label Ankur tewari. Show all posts
Showing posts with label Ankur tewari. Show all posts

APNA TIME AAYEGA LYRICS – Gully Boy | Ranveer Singh

3


Apna Time Aayega Lyrics – Gully Boy: This is latest rap song from Ranveer Singh & Alia Bhatt featuring movie Gully Boy. It is sung by Ranveer Singh and written by DIVINE & Ankur Tewari.



Song: Apna Time Aayega
Movie – Gully Boy
Singers – Ranveer Singh
Musicians – DIVINE, Ankur Tewari


Apna time aayega

Uth ja apni raakh se
Tu udd ja ab talaash mein
Parwaaz dekh parwane ki
Aasman bhi sar uthayega
Aayega apna time aayega
Mere jaisa shaana lala
Tujhe na mil payega

Yeh shabdon ka jwala
Meri bediyan pighlayega
Jitna toone boya hai tu
Utna hi to khaayega
Aisa mera khwaab hai
Jo darr ko bhi satayega
Zinda mera khwaab
Ab kaise tu dafnayega

Ab hausle se jeene de
Ab khauf nahi hai seene mein
Har raaste ko cheerenge
Hum kaamyabi chheenenge
Sab kuchh mila paseene se
Matlab bana ab jeene mein

Kyon
Kyon ki apna time aayega

Tu nanga hi to aaya hai
Kya ghanta lekar jaayega
Apna time aayega
Apna time aayega
Apna time aayega x (2)

Tu nanga hi to aaya hai
Kya ghanta lekar..

Kissi ka hath nahi tha sar par
Yahaan par aaya khud ki mehnat se main
Jitni taakat kismat mein nahi
Utni rehmat mein hai
Phir bhi ladka sehmat nahin hai
Kyon ki hairat nahi hai
Zaroorat yahaan marzi ki
Aur jurrat ki hai

Taakat ki hai, aafat ki
Himaakat ki, ibaadat ki
Adalat yeh hai chahat ki
Mohobbat ki, amaanat ki
Jeetne ki ab aadat ki hai
Shohrat ki ab laalach nai hai
Tere bhai jaisa koyi hard’ch nai hai

Iss harkat ne hi barkat di hai
Kyon?

Kyon ki apna time aayega
Tu nanga hi to aaya hai
Kya ghanta lekar jaayega
Apna time aayega
Apna time aayega
Apna time aayega

Tu nanga hi to aaya hai
Kya ghanta lekar jaayega
Tu nanga hi to aaya tha
Kya tu ghanta lekar jaayega
Apna time aayega
Apna time aayega


JEENE MEIN AAYE MAZA LYRICS– Gully Boy | Ranveer Singh

0


Jeene Mein Aaye Maza Lyrics from Gully Boy feat Ranveer Singh is latest song sung, composed and written by Ankur Tewari. Mikey McCleary has also contributed its music.




 Song: Jeene Mein Aaye Maza
Movie – Gully Boy
Singers – Ankur Tewari
Musicians – Ankur Tewari, Mikey McCleary
Lyricists – Ankur Tewari



Tarazu ke bas do thaal hain
Ek ore hum dooje mein khwaab hain
Zindagi yeh pareshaan hai
Zindagi yeh pareshaan hai
Ganimat hai tu yahan
Jeene mein aaye maza

Khareeda nahi jaata khwaab hai
Kiraya bhi aisa lajawab hai
Zindagi yeh pareshaan hai
Ganimat hai tu yahan
Jeene mein aaye maza

Tu jo mila jaaga khwaab hai
Khoyi huyi meri kitaab hai
Muskaya sa aadaab hai
Jeene mein aaye maza

Sustaye mausam aabaad hain
Hawaon ke rukh humse naaraz hain
Zindagi yeh pareshaan hai
Ganimat hai tu yahan
Jeene mein aaye maza

Tu jo mila chhida saaz hai
Khamoshi ko mili aawaaz hai
Behti hawa sa ehsaas hai
Jeene mein aaye maza

Bigda hua hisaab hai
Thoda nafa thoda nuksan hai
Zindagi yeh pareshaan hai
Ganimat hai tu yahan
Jeene mein aaye maza