Search Your Song,Movie,Artist here....

Showing posts with label Nazir. Show all posts
Showing posts with label Nazir. Show all posts

Haan Qaidi Lyrics - Bhabi (1938)

0


Haan Qaidi Lyrics - Bhabi (1938)


Movie:        Bhabi (1938)
Singer(s):   Renuka Devi
Lyricist(s):  J S Kashyap
Composer(s):      Saraswati Devi
Music Director(s):        Saraswati Devi
Genre(s):    Playful
Director(s): Franz Osten
Music Label:        © Saregama
Starring:    Renuka Devi, Nazir
Release on: 1st January, 1938

Haan Qaidi Song Lyrics


Haan qaidi
Haan qaidi haan qaidi
Tan man qaidi
Jeevan qaidi
Tan man qaidi
Jeevan qaidi
Qaidi haan qaidi

Nainan mein yeh soorat qaidi
Man mandir yeh moorat qaidi
Nainan mein yeh soorat qaidi
Man mandir yeh moorat qaidi
Qaidi ham qaidi
Waare is bandhan par saare
Janam janam ki aazaadi
Waare is bandhan par saare
Janam janam ki aazaadi
Ham qaidi ham qaidi
Ham qaidi.

Jhuki Aayi Re Badariya Lyrics - Bhabi (1938)

0


Jhuki Aayi Re Badariya Lyrics - Bhabi (1938)


Movie:        Bhabi (1938)
Singer(s):   Renuka Devi
Lyricist(s):  J S Kashyap
Composer(s):      Saraswati Devi
Music Director(s):        Saraswati Devi
Genre(s):    Playful
Director(s): Franz Osten
Music Label:        © Saregama
Starring:    Renuka Devi, Nazir
Release on: 1st January, 1938

Jhuki Aayi Re Badariya Song Lyrics


Jhuki aayi re badariya saawan ki
Jhuki aayi re badariya saawan ki
Saawan ki man-bhaawan ki
Saawan ki man-bhaawan ki
Jhuki aayi re badariya saawan ki
Jhuki aayi re badariya

Nanhi-nanhi boondiyaan mehra barse
Nanhi-nanhi boondiyaan mehra barse
Pee pee papeeha raar kare
Aali jaaye kaho peeyaa aawan ki
Jhuki aayi re badariya saawan ki
Jhuki aayi re badariya

Sun re hathhi papeeha paapee
Pee ko naam na le
Sun paawe koi birha ki maari pee ka
Ye do nainaa kahoo na maane
Ye do nainaa kahoo na maane
Nadiyaa bahe jaise saawan ki
Koi jaaye kaho peeyaa aawan ki
Jhuki aayi re badariya saawan ki
Jhuki aayi re badariya

Saawan ki man bhaawan ki
Jhuki aayi re badariya saawan ki
Jhuki aayi re badariya.

Basa Le Apne Man Mein Lyrics - Baghban (1938)

0


Basa Le Apne Man Mein Lyrics - Baghban (1938)


Movie:        Baghban (1938)
Singer(s):   Ashraf Khan
Lyricist(s):  Mirza Shauq
Composer(s):      Mushtaq Hussain
Music Director(s):        Mushtaq Hussain
Genre(s):    Playful
Director(s): A R Kardar
Music Label:        © Saregama
Starring:    Narendra Ker, Bimla Kumari, Sitara Devi, Naaz, Yakubm Vasti, Yasmin, Putlilbai, Ashraf Khan, K N Singh, Vasti, Mirza Musharraf, Nazir
Release on: 1st January, 1938

Basa Le Apne Man Mein Song Lyrics


Man mein ae ae ae ae preet
Apne man mein preet
Basa le apne man mein preet
Man mandir mein preetam basa le
Man mandir mein preetam basa le
O moorakh o bhole bhaale
Dil ki duniya kar le raushan
Apne ghar mein jyot jaga le
Preet hai teri rit puraani
Bhool gaya o bharat vaasi
Preet hai teri riet basa le
Apne man mein preet
Bharat mata hai dukhiyaari
Aa aa aa aa aa aa aa aa aa

Bharat mata hai dukhiyaari
Dukhiyaare hain sab nar naari
Tu hi uthha le sundar murali
Tu hi ban ja shyaam muraari
Tu jaage to duniya jaage
Jaag uthhen sab prem pujaari
Gaayen tere geet basaa le
Apne man mein preet.

Ro Ro Nain Ganwaaun Lyrics - Baghban (1938)

0


Ro Ro Nain Ganwaaun Lyrics - Baghban (1938)


Movie:        Baghban (1938)
Singer(s):   Ashraf Khan
Lyricist(s):  Mirza Shauq
Composer(s):      Mushtaq Hussain
Music Director(s):        Mushtaq Hussain
Genre(s):    Sad
Director(s): A R Kardar
Music Label:        © Saregama
Starring:    Narendra Ker, Bimla Kumari, Sitara Devi, Naaz, Yakubm Vasti, Yasmin, Putlilbai, Ashraf Khan, K N Singh, Vasti, Mirza Musharraf, Nazir

Ro Ro Nain Ganwaaun Song Lyrics


Sajanaa aa aa aa waa
Sajan aa aa
Aa aa aa aa waa
Aan milo o o o o
Ro ro nain gawaaun
Sajanwaa aan milo

Ek pal chain na paaun
Sajanwaa aan milo
Ro ro nain ganwaa aa aa aa
Aa aa un yaad tumhari jab aa jaawe
Dukhiyaa man ko aur dukhaa de
Kisko haay lagnaaun
Sajanwaa aan milon
Ro ro nain gawaaun
Sajanwaa aan milo

Tumne mukhdaa
Kyun modaa hai
Preet ka rishtaa
Kyun todaa hai
Kisko meet banaaun
Sajanwaa aan milo o o
Ro ro nain gawaa aa aa aa
Aa aa un

Is sansar ke roop tumhi ho
Sundar sapnaa sirf tumhi ho
Tum bin chain na paaun
Sajanwaa aan milo
Ro ro nain gawaa aa aa
Aa aa aa aaa
Aa aa aa aaa
Sajanwaaa aa waaa
Aa aa aa aaa
Ro ro nain ganwaaun
Sajnwaa aan milo o o o.

Bhaagy Chakr Nit Chalta Lyrics - Pratima (1936)

0


Bhaagy Chakr Nit Chalta Lyrics - Pratima (1936)


Movie:        Pratima (1936)
Singer(s):   Amirbai Karnataki
Composer(s):      Anil Krishna Biswas
Music Director(s):        Anil Krishna Biswas
Genre(s):    Playful
Director(s): Ram Daryani
Starring:    Nazir, Gope, Sardar Akhtar, D Manak, Afzal Prem, Omkar

Bhaagy Chakr Nit Chalta Song Lyrics


Bhaagy chakr neet chalta
Hai karmo ki gaati nyaari hai
Rota ho yaa hasata ho
Bhaagy chakr neet jaari hai

Phirta hain kisi ke pahalu
Mein sansaar yah sara
Rota hai kisi ki furqat
Mein badhaal bechara

Karmo ka phal bhog
Raha paapi nabina
Duniya ka daur nirala
Palabhar ka pasara

Beeta bachpan aai jawani
Aai jawani kya deewani
Duniya bandhan hai ik dhokha
Prem amar hai aur lafani.

Kis Ki Aamad Ka Yoon Lyrics - Bombay Mail (1935)

0


Kis Ki Aamad Ka Yoon Lyrics -  Bombay Mail (1935)

 

Movie: Bombay Mail (1935)
Singers: Rajkumari Dubey
Composer: Lalubhai Nayak
Music Director: Lalubhai Nayak
Genre: Playful
Director: Rasik Bhatt
Music Label: © Saregama
Starring: Raj Kumari, Jayant, Lallubhai Nayak, Panna, Raja Babu, Umakant Desai, Nazir, M. Ismail, Gulab

Kis Ki Aamad Ka Yoon Song Lyrics


Kis ki aamad ka yoon intezaar hai re
Aaj joban pe kaisa nikhaar hai
Kis ki aamad ka yoon intezaar hai re
Aaj joban pe kaisa nikhaar hai
Kaun hai dilruba jis pe pyaar hai haan
Kaun hai dilruba jis pe pyaar hai
Kis ki ulfat mein dil beqaraar hai haan
Ulfat mein dil beqaraar hai
Jaavo jaavo manaavo le aavo sanam ko
Gulshan mein aayee bahaar hai
Jaavo jaavo manaavo le aavo sanam ko
Gulshan mein aayee bahaar hai
Kis ki aamad ka yoon intezaar hai re
Aaj joban pe kaisa nikhaar hai

Istheshan pe aa gayaa aa aa
Ab to bombay mail
Ab sawaal koi nahin ee
Khatam huaa khel

Dil to teer e nazar ka shikaar hai haan
Dil to teer e nazar ka shikaar hai
Tere abru ka seene pe waar hai haan
Tere abru ka seene pe waar hai
Jaavo jaavo manaavo le aavo sanam ko
Gulshan mein aayee bahaar hai
Jaavo jaavo manaavo le aavo sanam ko
Gulshan mein aayee bahaar hai

Kis ki aamad ka yoon intezaar hai re
Aaj joban pe kaisa nikhaar hai
Kis ki aamad ka yoon intezaar hai re
Aaj joban pe kaisa nikhaar hai
Kaun hai dilruba jis pe pyaar hai haan
Kaun hai dilruba jis pe pyaar hai
Kis ki ulfat mein dil beqaraar hai
Jaavo jaavo manaavo le aavo sanam ko
Gulshan mein aayee bahaar hai
Kis ki aamad ka yoon intezaar hai re
Aaj joban pe kaisa nikhaar hai.

Kaaga Re Jaiyo Piya Ki Lyrics - Bombay Mail (1935)

0


Kaaga Re Jaiyo Piya Ki Lyrics -  Bombay Mail (1935)

 

Movie: Bombay Mail (1935)
Singers: Rajkumari Dubey
Composer: Lalubhai Nayak
Music Director: Lalubhai Nayak
Director: Rasik Bhatt
Music Label: © Saregama
Starring: Raj Kumari, Jayant, Lallubhai Nayak, Panna, Raja Babu, Umakant Desai, Nazir, M. Ismail, Gulab

Kaaga Re Jaiyo Piya Ki Song Lyrics


Kaaga re jaiyo piya ki
Galiyan mein kaaga re
Jaiyo piya ki galiyan mein
Nainon ke taare
Jaaye base pardes saiya
Jaaye base pardes saiya
Jaaye base pardes saiya
Kaaga re
Jaiyo piya ki galiyan mein
Ab to sudh le na piya
Tadpat din rain jiya
Ab to sudh le na piya

Aa aa aa a aa
Ab to sudh le na piya
Aa aa aa aa
Ab to sudh le na piya
Tadpat din rain jiya
Kaahe ko bairi jiyari paaye
Kaahe ko bairi jiyari paaye
Preet lagaayi
Preet lagaayi

Kaaga re jaiyo
Piya ki galiyan mein

Preet karo to yoon karo
O o o haan
Jaise lota dor
Apna gala phansaaye ke
Paani laawat

Ab to sudh le na piya
Tadpat din rain jiya
Ab to sudh le na piya
Tadpat din rain jiya
Kaahe ko bairi jiyara
Paapi  preet lagaayi
Preet lagaayi kaaga re
Jaiyo piya ki galiyan mein
Kaaga re
Jaiyo piya ki galiyan mein

Jao Sidharo Fatah Pawo Lyrics - Lal-E-Yaman (1933)

0


Jao Sidharo Fatah Pawo Lyrics -  Lal-E-Yaman (1933)


Lal-E-Yaman is a 1933 Indian Hindi film directed by J. B. H. Wadia. The film (Lal-E-Yaman), starring Feroz Dastur, Jai Khambatta, Padma, Mohini, Karima Sayani, Nazir, Master Mohd, Sayani, Boman Shroff, Kamala, Baby Mayuri, Nadia, was released in theatres in 1933. The film’s songs are composed by Vasant Desai and lyrics written by Munshi Aashiq.



Movie: Lal-E-Yaman (1933)
Singers: Firoz Dastur
Lyricist: Munshi Aashiq
Genre: Classical
Director: J. B. H. Wadia
Starring: Feroz Dastur, Jai Khambatta, Padma, Mohini, Karima Sayani, Nazir, Master Mohd, Sayani, Boman Shroff, Kamala, Baby Mayuri, Nadia

Jao Sidharo Fatah Pawo Song Lyrics


Zu zu zu zu zu zu zu
Yasoda ka nandlala
Brigh ka ujhala hai
Mere laal se to sara
Jag jhil milaye
Yasoda ka nandlala
Brigh ka ujhala hai
Mere laal se to sara
Jag jhil milaye

Raat thandi thandi
Hawa gaa ke sualaye
Mor gulabi pankhe
Chum ke ke jagaye
Yasoda ka nandlala
Brigh ka ujhala hai
Mere laal se to sara
Jag jhil milaye.

Tasvir E Gum Bana Hu Main Lyrics - Lal-E-Yaman (1933)

0


Tasvir E Gum Bana Hu Main Lyrics -  Lal-E-Yaman (1933)


Lal-E-Yaman is a 1933 Indian Hindi film directed by J. B. H. Wadia. The film (Lal-E-Yaman), starring Feroz Dastur, Jai Khambatta, Padma, Mohini, Karima Sayani, Nazir, Master Mohd, Sayani, Boman Shroff, Kamala, Baby Mayuri, Nadia, was released in theatres in 1933. The film’s songs are composed by Vasant Desai and lyrics written by Munshi Aashiq.



Movie: Lal-E-Yaman (1933)
Singers: Firoz Dastur
Lyricist: Munshi Aashiq
Genre: Classical
Director: J. B. H. Wadia
Starring: Feroz Dastur, Jai Khambatta, Padma, Mohini, Karima Sayani, Nazir, Master Mohd, Sayani, Boman Shroff, Kamala, Baby Mayuri, Nadia

 Tasvir E Gum Bana Hu Main Song Lyrics


Tasvir e gum bana hu main
Hairat mein mubtila hu main
Jo pal na aya kabhi
Wo labz hu jaha hu main
Tasvir e gum bana hu main

Dil mein hazaro jakham hai
Marhum dhund raha hu main
Dil mein hazaro jakham hai
Marhum dhund raha hu main
Dard lazwab hu main
Tasvir e gum bana hu main

Manjil door hai meri
Manjil door hai meri
Or ek falsafa hu main
Tasvir e gum bana hu main
Hairat mein mubtila hu main.